Wednesday, July 6, 2011

Gazal chalisa part


DOSTO, SHAYRANA AAMAD NE PARERNA DEE AUR KAI RANGG KE SHAYRANA PHOOL KHIL UTHE, GAM , TANAZ , BEKRAARI, MATLAB , NAAKARAPAN , BHARUN HATYA , MAHBOOB KI YADE'N , MAHNGAI, BEBASI ,YAARON SE SHIKWA, TANHAAI, MAHFIL, UDAASI, CHULBULAPAN BAGERA BAGERA, APKO JO BHI RANGG PASAND HO USE CHUNIE AUR LIKH DALIE EK KHOOBSOORAT GHAZAL..............

Yadon me khoe deewane lagte hain,
furkat me kyu.n ashak bahaane lagte hain.

Chhod ke jab bhi tum gaao'n ko jaate ho,
angan mujhko kaat ke khaane lagte hain.

Mandir me jo sar dhakne ko kahte hain,
shayad ye kuchh log syane lagte hain.

Sar pe choti, kaan me jhumka pahan lia,
kaise hain ye mard, janane lagte hain.

Mahangai ke daur me janta cheekh rahi,
mantrio'n ko madhur taraane lagte hain.

Aap jise besharam jawani maan rahe,
Hamko ko to ye nae zamane lagte hain.

Pappu kaise aaj panchvi pass kare,
bhaari bharkam bag daraane lagte hain.

Fees badhi hadd se mahngi taleem hui,
abba aa gae jeb kataane lagte hain.

Mahfil me chhai kaisi khamoshi hai,
hum ko kuchh chehre anjaane lagte hain.

Dharam ke naam pe vahan nahi jhagda hota,
hum ko to achhe maikhane lagte hain.

Pahra dene vale jab so jate hain,
chori karke chor jagaane lagte hain.

Pakk kar jab AMROOD laal ho jate hain,
taak taak kar khoob nishaane lagte hain.

Apne ghar me Raja jee bhi lalu hain,
Khali vaqat me bhains charane lagte hain.

Gair mulak se nafrat ki jo hawa chali,
Apne jane kyun begaane lagte hain.

Thokar maar ke tod khiloune dete hain,
baad me gudia ko bahlaane lagte hain.

Bhai bhai hone ka dum bharte hain.
jaane kiun fir aankh churane lagte hain.

Raton ki tab neend kahin ud jaati hai,
yaadon ke jab bhoot sataane lagte hain.

Bhri jeb ho sur se saaz milate hain,
maal khatam to ulta gaane lagte hain.

Rave party me izzat lut jaati hai,
nai kisam ke pagalkhane lagte hain.

Pata nahi kya unki nazar me jaadu hai,
aate hi mahfil me chhane lagte hain.

Maar dalegi unki bas ye baat mujhe,
aankh mile to honth chabaane lagte hain.

Do hafto'n se yahi silsila chaalu hai,
mujhe bulake sahab nahane lagte hain.

Khuli hui khidki se udke chale gae,
khat ye tere yaar purane lagte hain.

Jab bhi mai apni dafli khadkata hoon,
vo bhi apna raag sunane lagte hain.

Ek aankh se hi sabka kalyaan kare'n,
raja ji andho'n me kaane lagte hai.

Jab bhi koi shekh sahib ke nukas gine,
nazro'n se bhale barsaane lagte hain.

chun chun kar tere aansu mai rakhta hoon,
mujhko to tasbeeh ke daane lagte hain.

Jab uske agosh mei jaana chahta hai,
log pakad ke use bachane lagte hain.

Inqlaab kahne ko jab munh khulta hai,
neta ji tab gala dabaane lagte hain.

Yaar marte phool aur dil dukhta hai,
dushman jhat se pyar jatane lagte hain.

raato'n ko jo madhoshi me paap kare'n,
shahar ke izzatdaar gharane lagte hain.

AA bhi jao mahfil me kuchh rang jame,
tere bin ye ghor veerane lagte hain.

cheekh cheekh ke doob koi jab jaata hai,
madadgaar tab haath thamane lagte hain.

Jab shaakho'n pe ullu hi rah jate hain,
pappu ji tab jaal bichhane lagte hain.

Jinki yaadon ne dil me nasoor die,
unki yaado'n ko dafnane lagte hain.

Dil ke atishdaan me jiske raakh jami,
pyar se usko hum sulgaane lagte hain.

T.v.pe akhbaar me jinki charcha hai,
tere mere kuchh afsane lagte hain.

paani jab sar se uncha uth jata hai,
lohe ke vo chane chabaane lagte hain.

Mahfil me tanhai jab chhaa jati hai,
usme bhi vo rangg jamaane lagte hain.

Barish ruki to "komal" ghar se niklenge,
janu ko ye sirf bahaane lagte hain.

No comments:

Post a Comment