Kabr pe behatasha rote hue shakhs se humne poochhaa,
kis ki yaad mein ro rahe ho is bekadar? jaroor koi tumahaara aziz ya dile-jigar raha hoga, ya phir marhoom bibi ka ghum tumhe khaa raha hoga shakhs bola, essi koi baat nahin hai, wafaai aur zazbaat ki takraar nahin hai hum ye baat sunkar chakraa gaye, thode girre phir sambhalaa gaye poochaa ,ye raaz humen bhee sunaayo apni mashooka ka kissa to farmaaayo bolaa, ye meri bibi ke pehle pati ki kabr hai, kon thaa,nahin mujhe iski koi khabr hai zindaa hota aaj 'vo',to mein aazad hota, na meraa husn-e-mahal is kadr barbaad hota Al-Qaida ke kaidiyon se bhi buraa haal hai, haath paer khulle par dil zakhmon se laal hai ae mere hamdard aur saathiyon,kya tumhne ehsaas hai, ke shaadi aur wafaai, is zamaane mein itihaas hai. Jinki ho gai , vo pachhta rahen hain, Jinki nahin hui, vo chakkra rahe hain third wife aur fourth husband ka zamaana hai her kids,my kids and our kids kya anjaana hai? Apne ko pehchaan lo ,'living together' ko jaan lo, Laila Majnoo ko bhoolkar , meri baat maan lo. |
Sunday, July 17, 2011
Meri baat maan lo.....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment